Old school Swatch Watches


Bewafai Shayari

Bewafai Shayari

PAGE=11

PLEASE READ FULL AND THEN TELL ME ABOUT THIS!
By : Gagan (Views : 692)

aey subah! main kahan hoon--Khuwaboon hi main sarf ho chuka hoon.

sab merey bagair mutmaeen hain--main sab k bagair ji raha hoon

kiya hai jo badal gaee hai duniya--main bhi tu bhut badal gay hoon

goo apnay hazaar naam rakh loon--per apnay siwa main aur kiya hoon

main jurm ka atiraaf kar k--kuch aur hai jo chupa gaya hoon

meri aik aur buri addat--- ikhlaaq main jhoot bolta hoon

aik shakhs jo mujh say waqt le kar--ajj aa naa saka tu khush howa hoon

rooya hoon tu apnay doostoon main-- per tujh se tu hans kar mila hoon

aey shakhs! main teri justujoo say-- bezaar nahi hoon, thak gaya hoon

kal per hi rakho wafa ki batein-- main ajj bhut bhuja howa hoon.

 

Nadaan Dil Kar Baitha Naadaani
By : Gagan (Views : 662)

Anjaan thhe ishq ke anjaamon se,
Naadaan dil kar baitha naadaani,
De baithe jaan usko jisne na jaani qader meri,
Mili thhi mulkaton se bhi adhik khushi,
Nilaam huwa dil nilaamiyon ke bich gali gali.

 

Kya Chaha Thha Tumse!!
By : Gagan (Views : 1038)

Dil mein tere, mere dil ne pyaar ko dhoondha kiya,
Tumne mujhe kisi aur ki chahat ki khatir do pal ke liye bhula diya!!
Kya chaha thha pyaar mein tumse,
In wafaon ka yeh kya sila diya,
Tumne mere pyaar ko ek khilona samajh liya,
Jee bhar ke uss se khela aur ek shaam ko tod diya!!
Mar ke jee utha thha tere pyaar mein,
Aaj phir tuney mujhe jeete ji maar diya!!

 

Kaash Dil Sheeshe Ka Hota
By : Gagan (Views : 656)

Kaash yeh dil sheeshe ka bana hota,
Chhot lagti to beshak yeh fanaa hota,
Par jab woh sunte sada is dil ki,
Ya khuda tab to unhe ehsaas-e-gunah hota.

 

Phir Koi De Gaya Hai Daag.....
By : Gagan (Views : 539)

Jo phir na lautenge, unka raaste aake kyun dekhe?
Jo hai hi nahi, phir kyun unki kami mehsus ho hume?
Hum khud hi apni aarzoon par kafan chadha aaye,
Ab namuraad-e-alam mein koi shikwa nahi raha,
Hum apne hi aansoon ka sila jo afsano mein likh aaye,
Jab dil hi na raha to dhadakta hai kis liye,
Ab na koi aasre hain na zindagi se ranjishein,
Phir jaane kyun namm hoti hain aankhein jab din dhale,
Kyun khatm na ho jaye bezaar zindagi ke silsiley,
Ab bann gaye hain rakeeb shaam-o-seher mujhse,
Phir rone ki sazaa aayi sirf kyun mere hisse,
Sashe tumhari hasti hai chandni ke waaste,
Phir koi de gaya hai daag tumhare kaaynaat pe

Ashiqui Ka Matam Hai.....
By : Gagan (Views : 495)

Teri bewafai ka ashiqui ka maatam hai,
Zindagi ki raahon mein zindagi ka matam hai,
Mujhe dass gaye dekho saanp astino ke,
Dushmano ka shikwa kya dosti ka maatam hai,
Ro rahe hain dushman bhi aaj meri mayyat par,
Aa ke dekha teri berukhi ka maatam hai,
Ho gayi khata humse tum ko toot kar chaha,
Jo hume na raas aayi us khushi ka maatam hai,
Kal chiraag baat-te the hum saari duniya ko,
Aaj khud mere ghar mein roshni ka maatam hai.

 

Resham
By : Gagan (Views : 709)

tu khush rahe humesha dil se dua ye nikle
rab se dua hai meri tere dar pe dum ye nikle

 

Tuta Dil
By : Gagan (Views : 1053)

Samja do apni yado ko,
wo bin bulaye pas aaya karti hai,
aap to dur rehkar satate ho magar,
wo pas aakar rulaya karti hai

 

Yaar Ki Bewafai....
By : Gagan (Views : 743)

Cheez bewafai se badh kar kya hogi,
Gham-e-halaat judai se badh kar kya hogi,
Jise deni ho saza maut ki,
Yaar ki bewafai se badh kar kya hogi.

 

KABHI KISI SE
By : Gagan (Views : 729)

KABHI KISI SE ZIKAR-E-JUDAI-MAT KARNA,
IS DIL SE KABHI RUSWAI MAT KARNA,
JAB DIL UTH JAYE HUMSE TO BATA DENA,
NA BATA KAR BEWAFAI MAT KARNA.

Nafrat Hai Mujh Ko..........
By : Gagan (Views : 1452)

Thi jisse mohabbat aaj us se nafrat hai mujh ko,
Kiya karte the izzat jiski aaj usi se shikayat hai mujh ko,
Zaahir nahi kiya humne apne zakhmo ko kabhi,
Dard mein bhi yaaron muskurane ki aadat hai mujh ko,
Tod chuke hain rishta iss bewafa duniya se hum,
Aye khuda tere saaye ki ab zarurat hai mujh ko.

 

Mera Sabr....
By : Gagan (Views : 946)

Sabr mera aur mera yeh vishwaas,
Gussa tera aur teri bewafai ka ehsaas,
Chhod jana humko kisi aur ke liye,
Bhool na jaana tera kadam jo tha khaas,
Ek tere kadam ne zindagi sabki rula di,
Vishwaas ki har ek kiran bujha di,
Bewafai ki woh aandhi barsaa di,
Tinka tinka aasmaan zameen hila di.

 

 

Tere Jeha Koi Horr Hunda
By : Gagan (Views : 634)

Es tarah na karde pyar tainu assi,
Je dil wich sade koi chor hunda.
Digde na hanju akhan sadian cho tere layi,
Je tere jeha koi horr hunda.

 

SAQI
By : Gagan (Views : 1017)

"Woh Doob Key Mar Jaaye Madira Ki Suraahi Mein,
Saaqi Ney Agar Dil Ki Mehfil Se Nikala Ho."

 

Rehna Hai Cinderella Ke Dil Mein
By : Gagan (Views : 1416)

1) Bewafai Ki Yeh Inteha Ho Gai,
Ke Tujhse Juda Ho Kar Bhi Jeeney Ki Aadat Ho Gai,
Tum Laut Ke Aaogey Hum Say Milney,
Roz Dil Ko Behlaney Ki Aadat Ho Gai.

Terey Waadey Pe Kya Bharosa Kia Hum Nay,
Ke Shab Bhar Tera Intezaar Karney Ki Aadat Ho Gai,
Khushi Mein Bhi Hum Kya Muskuratey Ke,
Teri Judaai Mein Roney Ki Aadat Ho Gai.

Kaaflay Nikal Gaye Humein Chhor Ke,
Ke Ab To Tanha Safar Ki Aadat Ho Gai,
Har Mod Par Mili Gham Ki Parchaiyaan,
Zindagi Se Samjhota Karney Ki Aadat Ho Gai.

Jaantey They Ke Nahi Ho Sakti Kabhi Tum Hamari,
Phir Bhi Khuda Se Tujhey Maangney Ki Aadat Ho Gai,
Paiman-e-Wafaa Kya Hai Humey Kya Maloom *Gagan*,
Ke Bewafaaon Se Dil Laganey Ki Aadat Ho Gai.

2) Samandar mein uterta hoon to aankhein bheeg jati hain,
Teri aankhoon ko phadta hoon to aankhein bheeg jati hain.
Tumhara naam likhne ki ijazat chin gaye jab se,
Koi bhi lafz likhta hoon to aankhein bheeg jati hain.
Teri yadoon ki khushboo khidkiyoon mein rakhs karti hai,
Tere gham mein sulaghta hoon to aankhen bheeg jati hain.
Na jane ho gaya hoon is qadar hatash main kab se,
Kisi se baat karta hoon to aankhein bheeg jati hain.
Wo sab guzre lamhaat mujh ko yaad atay hain,
Tumhare khat jo phadta hoon to aankhein bheeg jati hain.
Main saraa din bahut masroof rehta hoon magar jonhii,
Qadam choqhat pe rakhta hoon to aankhein bheeg jati hain.
Hazaroon mosamoon ki hukumrani hai mere dil par,
Gagan mein jab bhi hansta hoon to aankhein bheeg jati hain.

3) Khowaab Sa Dekhati Hain Gheri Brown Aankhein,
Ik Baat Dil Mein Chor Jati Hain Yeh Brown Aankhein,
Har Din Har Waqt Mujh Ko Aisa Lagta Hai,
Kehna Kuch Chati Hain Yeh Gheri Brown Aankhein,
Har Baar Har Pal Mujhe Dekh Kar Na Jane Kyun,
Itna Pyaara Muskarati Hain Yeh Gheri Brown Aankhein,
Har Baar Kuch Khene Kuch Batane Ki Aarzo Mein,
Wo Hi Baat Bhool Jati Hain Yeh Gheri Brown Aankhein,
Har Dam Talaash Kyun Unhe Deti Hain Mera "Gagan",
Kya Waqe Mujhe is Kadar Chati Hain Yeh Gheri Brown Aankhein.

4) Pyar Kay Deep Jalanay Walay Kuch Kuch Pagal Hotay Hain,
Apni Jaan Say Janay Walay Kuch Kuch Pagal Hotay Hain,
Hujar Kay Gehray Zakham Milay To Mujh Ko Yeh Ehsas Hua,
Pagal Ko Samjhanay Walay Kuch Kuch Pagal Hotay Hain.

Jaan Say Pyaray Logon Say Kuch Kuch Parda Lazim Hai,
Sari Baat Batanay Walay Kuch Kuch Pagal Hotay Hain,
Khuwaboon Main Bhi Piya Milan Ke Sapnay Dektay Rehtay Hain,
Neenddon Main Muskanay Walay Kuch Kuch Pagal Hotay Hain.

Iss Jhooti Nagri Main Hum Nay Yehi Hamesha Dekha Hai,
Sachi Baat Batanay Walay Kuch Kuch Pagal Hotay Hain,
Pyar Jahan Ho Jai Unn Ko Chain Bhala Kab Mil Pata Hai,
Shaab Bhar Ashk Bahanay Walay Kuch Kuch Pagal Hotay Hain.

Apni Zaat Kay Ujday Gulshan Say Wo Pyar Kahan Kartay Hain,
Auroon Ko Mehkhanay Walay Kuch Kuch Pagal Hotay Hain,
Issi Kay Ishq Main Bheeg Ke "Gagan" Hum Ko Yeh Ehsas Hua,
Dil Ki Baat Main Anay Walay Kuch Kuch Pagal Hotay Hain.

5) Lakh Dukh Uthao,Tum Koshish Kartay Rehna,
"Gagan" Isi Tarhan Toot Ke Usay Chahte Rehna,
Wo Yaad Na Karay Tum Ko Yeh Us Ka Amall Hai,
Tum Khud Say Ziyada Usay Yaad Kartay Rehna,
Yeh Jan Lo Ke Rona Us Ko Aata Nahi Tum Par,
Khair Tum Aise Hi Ehed Nibhatay Rehna,
Aansoo Ki Tumharay Koi Qimaat Nahi Hai,
Us Ki Yaad Mein Yu Hi Tum Ashk Bahatay Rehna,
Kabhi Tadpegee Wo, Kabhi To Beqarar Hogee,
Dastaan Tum Us Ko Apni Yu Hi Sunatay Rehna,
Din Bohat Kam Hain Tumhari Zindagi Ke "Gagan",
Aggar Nafrat Bhi Karay Tum Us Say Mohabbat Kartay Rehna,
Zindagi Ke Kisi Mod Par Pashtayegee Wo Bhi,
Tum Be Khuli Aankhoon Say Usay Dekhtay Rehna,
Khub Dil Lagaya Hai "MOLLA" Is Bay-Parwa Ke Saath,
Mar Jaonga Nahi Hota Mujh Say Jitey Rehna,
Jinay Ki Baat Hai Is Mein Kia Kahoo "Gagan",
Qismaat Mein Hai Tumhari Us Ke Liye Tadapptay Rehna.

6) Mera Haal-e-Dil Kuch Aisa Hai Ke Koi Bata Nahi Sakta,
Suntay Hain Log Par Koi Suna Nahi Sakta,
Hawaaon Par Likha Hai Maine Kissa Apni Hayaat Ka,
Ke Koi Lakh Chahay Bhi To Mitta Nahi Sakta,
Har Aik Ki Tamnna Hai Ke Pholoon Pay Guzray Zindagee,
Par Raahon Mein Paday Kaanton Ko Koi Hatta Nahi Sakta,
Dil Mein Dukh Somoo Ke Kab Tak Hanstay Raho Gay,
Aankhon Mein Aisay Aansuon Ko Koi Chupa Nahi Sakta,
Lakh Chahoo In Mast Miloo Mein Gum Ho Jao,
Maggar Betey Hue Lamhoon Ko Koi Bhula Nahi Sakta,
Koi Ruth Jai Tum Say To Mana Lena,
Ke Janay Walon Ko Koi Wapis Bula Nahi Sakta,
Har Cheez Ko Pa Lenay Ki Aarzo Na Kar,
Ke Suraaj Niklata Hai Par Us Ki Taraf Koi Aankh Utha Nah Sakta,
Samandar Ki Lehron Pay Un Ka Naam Likhta Hoon "CINDERELLA",
Ke Koi Aag Laga Bhi Dey Par Jala Nahi Sakta.

7) Haan Pyaar Nahi,Ishq Nahi,Ibadat Ki Hai,
Maine Rasmon Ke Riwajon Say Bagwaat Ki Hai,
Apni Mehkmoor Nigahon Mein Basa Kar Mujh Ko,
Tuney Toot Kar Mujh Say Jo Mohabbat Ki Hai,
Qabool Kar Ke Mujhe Thukra Diya Hai Duniya Ko,
Maine Tere Liye Duniya Say Adawaat Ki Hai,
Haseen Azaala Hai,Karam Hai Yeh Hi Khosh Bakhti,
Apnay Malik Say Maine Jo Shikayaat Ki Hai,
Karo Main Kaie Shhukar Adda Is Nawazish Ka,
Mere Mehboob Tuney Jo Anayaat Ki Hai,
Khud Say Bharr Ke Maine Tujhe Chahaat Ki Hai,
Haan Pyaar Nahi,Ishq Nahi,Ibadat Ki Hai.

8) Bada Kathin Hai Rasta Jo Aa Sako To Saath Do,
Yeh Zindagee Ka Fasla Mitta Sako To Saath Do,
Baday Fareb Khaoge Baday Sitam Uthaoge,
Yeh Umar Bhar Ka Saath Hai Nibha Sako To Saath Do,
Jo Tum Kaho Yeh Dil To Kya Mein Jaan Bhi Karo Fida,
Jo Main Kaho Tu Ik Nazar Lutta Sakoo To Saath Do,
Hazaar Imtehaan Or Hazaar Azmaishein,
Hazaar Dukh,Hazaar Ghum Utha Sako To Saath Do,
Yeh Zindagee Yahan Khushi Ghamon Ke Saath Saath Hai,
Rulla Sako To Saath Do,Hansa Sako To Saath Do.

MAJBURI HAI
By : GAGAN (Views : 1435)

MERI BHI EK MAJBURI HAI ,
KI TERE BINA MERI ZINDAGI ADHURI HAI,
WOH SHAMME MEHFIL PURI HAI JISME TERA SAYA HAI,
WOH KHUSH NASEEB HAI TUNE JISE APNAYA HAI.

ZINDAGI JEENE KE LIYE SIRF BAATEIN HI KAAFI HAIN,
LOG KEHTE HAIN KI SIRF YAADEIN HI KAAFI HAIN,
MERE PAAS TO TERI YEH YAADEIN BHI ADHURI HAIN,
MERI WAFA KE SANG TERI BEWAFAAI KA ZEHER PEENA BHI MERI EK MAJBURI HAI,
HAAN MERI BHI EK MAJBURI HAI,
TERE BINA MERI ZINDAGI ADHURI HAI.

 

Muqadar Chod De Jisko
By : Gagan (Views : 1253)

Muqaddar chhod de jisko zamaanaa chhod deta hai,
Khizaa mein har parinda aashiyanaa chhod deta hai,
Samajh lein lag rahi hai aapki buniyaad mein deemak,
Padosi jab kabhi nazrein milana chhod deta hai,
Zamaane bhar ki taqreeren asar mujh par naheen karteen,
Magar ik lafz tera ik fasaana chhod deta hai,
Wo zaalim bewafaa harjaai hai magar fir bhi,
Nazar milte hi ik manzar suhana chhod deta hai.

 

Gamm Aur Sharab
By : Gagan (Views : 846)

Gamm ko sharab mein dobone wale,
Tujhe yeh maloom nahi ke gamm ko terna bhi aata hai, Agar gamm doob jaata sharab ke dobone se to deewane yun na aate mekhaane se.

 

Samajh Loonga
By : Gagan (Views : 1322)

SAMAJH LOONGAA KI MUJHE,
RONAA HI NAHEE AAYA,
ANKHON MEIN NA PANEE AAYA,
AUR NAHEE MAIN ROYA!

SAMAJH LOONGA KI MUJHE,
JAVAANEE HEE NAHI AAYI,
NA HEE TUJHE PYAAR KIYA,
AUR NAHEE TUME PAAYA!

SAMJH LOONGA KI YAHA,
BAAREESH HI NAHEE AAYI,
NAHEE MAIN BHEEG GAYAA,
AUR TERI YAAD NAHEE AAYI!

 

Yeh Andesha
By : Gagan (Views : 964)

Mujhse mukhlis na wakif meray juzbaat se thha,
Us ka rishta toh sirf apnay muffad say thha,
Ab bichdda hai toh kya royein judayi pe teri,
Yeh andesha toh humein pehli mulakaat se thha

Tumhe Pukarte Thake Nahin Hain
By : Gagan (Views : 970)

Tumhe pukarte thake nahin hain,
Khamoshi ek zubaan ban gayi hai,
Tere rubaru aate hi aye bewafa,
Har ranjish ek dua baan gayi hai!!!

 

Main Aapke Intezaar Mein Baitha Hoon
By : Gagan (Views : 960)

Main aapke intezaar mein baitha hoon,
Aur aap na jaane kiska intezaar kar rahe ho,
Ye dil aapse pyar karne ki ijazat maang raha hai,
Aur aap na jaane kyon inkaar kar rahe ho!!!

 

Khanjar Meri Talaash Mein Tha!!
By : Gagan (Views : 952)

Woh jisko dost samajh kar lipat gaya thha main,
Usi ke haath ka khanjar meri talaash mein thha!!

 

Wafa Ka Naam Na Lo Yaaro....
By : Gagan (Views : 1190)

Wafa ka naam na lo yaaro, wafa dil ko dukhati hai
Wafa ka naam lete hi ek bewafa ki yaad aati hai!!!

 

Bahut Ho Chuki Bewafai Ab To Wafa Kijiye
By : Gagan (Views : 956)

Bahut ho chuki bewafai ab to wafa kijiye,
Bahut ho chuki bewafai ab to wafa kijiye,
Qabra mein hain paaon aapke, kuchh to haya kijiye!!


« Back
« Home
wWw.Bhangu.Xtgem.CoM
© 2010 ! Inc - All rights reserved
online counter